Saturday, 31 October 2015

Kya Sindhi Jinnah, Punjab Aur Punjabi Qoom Ka Dushmun Nahi Tha?

Sindhi Jinnah ko 1945 tak Punjabi Muslman Kafir-e-Azim kehtay thay. Chon k, 1937 k Punjab k election mein Sindhi Jinnah ki party Muslim League ko, jis k Punjab mein president Allam Iqbal k honay k bawajood, Punjab bhar mein sirf 2 seats milli thein aur Sir Sikandar Hayat, Sir Chhotu Ram, Sardar Baldev Singh ki leadership mein Unionist party ko Punjabiyon nay apna mandate diya tha, es liay 1946 k election mein Sindhi Jinnah nay Punjab mein rehnay waalay Arabic background peeron, Baloch background sardaron, Pathan background jageerdaron aur mafaad parast Punjabiyon ko apnay sath milla kar, Punjab mein Mazhbi nafrat phylanay k liay, UP k area say Devobundi aur Brailvi molvi Punjab laa kar, Aligarh k sazshi aur sharaarti Hindustani Urdu speaking's ko Punjab k election mein bulwa kar, Punjab ko secular Punjab say Mazhbi nafrton waala Punjab bunna kar, Punjab aur Punjabiyon ki 1920 say representation karnay waali Muslman Punjabiyon, Hindu Punjabiyon, Sihk Punjabiyon, Christian Punjabiyon ki secular political party, Unionist ko khutum karwa diya.

Sindhi Jinnah, 20 lakh Punjabiyon ka qatal, 2 croor Punjabiyon ko displace karwaanay waala, Punjabi Qoom ko direct action day k zariay aapas mein lurwaanay waala, Pakistan k qiyaam k waqt, Punjab ko divide karwa kar kuch Punjab ka hissa India aur kuch Pakistan mein shamal karwaanay waala shakhs tha.

Punjab mein Unionist Party ko haraanay aur Muslim league ko jitwaanay k liay Mazhabi nafrat ki jo aag 1946 mein Jinnah nay lagaaee ous mein Punjabi Qoom ab tak jul rahi hy.

Jinnah nay British agenda aur UP, CP waalon k political interests par kaam kar k, jo zulm Punjabi Qoom par kiya, ous ka injaam acha nahi.

Islam ko political interests k liay istamaal karnay say Pakistan mein Islam bhe politicize ho chuka hy our 68 saal k baad bhe na Pakistani naam ki Qoom bun saki aur na bun sakti hy.

Qoomon ki apni Zameen, Zabaan, Rasmain aur Rawaaj hotay hain. Pakistan, Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch Qoomon ka mulk hy.

Pakistan ki Punjabi, Sindhi, Pathan, Baloch Qoomon ko Urdu Zabaan boolnay par majboor kar k, Gunga Jumna ki Rasmain ikhtiyaar karnay par majboor kar k, UP, CP k Rawaaj apnaanay par majboor kar k, Pakistani Qoom kysay bunaaya ja sakta hy?

No comments:

Post a Comment