1947 mein Pakistan ko bunaanay k liay Sindhi
Jinnah aur Urdu Speaking Hindustani Liaquat Ali Khan nay Direct Action Day k
zariay Muslim aur Non-Muslim fasaadaat karwa kar Punjab ko aur Punjabi Qoom ko
Muslim aur Non-Muslim mein divide karwa diya tha.
Pichlay 68 years say Punjabi Qoom Massacre aur Migration Trauma
mein thi aur sath sath Sindhiyon, Balochon, Pathano aur Urdu Speaking
Hindustani Muhajiron ki gaaliyaan bhe sunn rahi thi aur in say blackmail bhe ho
rahi thi.
Durassal, 68 years say Muslman Pakistani Punjabi Qoom apni
identity search kar rahi thi k Muslman Pakistani Punjabi kon hain? Muslman
hain ? Pakistani hain ? Punjabi hain ?
Ab Muslman Pakistani Punjabi Qoom nay apni identity search kar lee
hy k Muslim tu wo Religion ki wajaah say hain. Pakistani wo Pakistan ka Citizen honay ki
wajaah say hain laykun Punjabi wo Punjabi Qoom hoonay ki wajaah say hain.
Punjabi chahay Muslman ho ya Sikh. Hindu ho ya Christian.
Religious dissimilarity k bawajood similar land, language, culture aur
traditions ki wajaah say, hain wo Punjabi he . Es liay Punjabi ko Muslman
Sindhi, Muslman Baloch, Muslman Pathan aur Muslman Urdu Speaking Hindustani
Muhajir k bajaay Punjabi Sikh, Punjabi Hindu aur Punjabi Christian ko phir say
unite karna chaheay. Punjab ko phir say unite
karna chaheay .
Punjab ki geographical land aur Punjabi nation alug topic hy jub k
Punjab ki geographical land aur Punjabi nation par aik hakoomat ka hoona ya aik
say ziyaada hakoomton ka hoona alug topic hy .
Aik Punjab tu Pakistan mein hy jis mein
Muslman Punjabi rehtay hain. Dosra Punjab India mein hy jis mein Sikh
Punjabi rehtay hain. Teesra Punjab bhe India mein he hy jis mein
Hindu Punjabi rehtay hain.
1947 say pehlay yeh Punjab aik he Punjab tha jis mein Muslman
Punjabi, Sikh Punjabi, Hindu Punjabi aur Christian Punjabi aapas mein mil jul
kar rehtay thay.
Waisay, Punjab ko Pakistan mein shamal karnay
k bajaay, as a Punjab he alug State bunna diya jaata tu
ziyaada behtar tha. Yeh he demand Unionist Party k president aur Prime Minister
of Punjab Sir Sikandar Hayat Khan ki thi . Second world
war k waqt in he terms and conditions par Sir Sikandar Hayat nay British ko
support bhe kiya aur es liay he second world war mein British Colonies mein say
sub say ziyaada recruitment British Army mein Punjab say hoee . Laykun 1942 mein
Sir Sikandar Hayat ki 50 years ki age mein death ho gaee jis ki wajaah say
Punjab aur Punjabi Qoom mein leadership crisis ho gayaa aur Jinnah ko Punjab
mein Muslim League ko organize kar k Secular Punjab ko Religious Punjab mein
covert karnay ka mooqa mil gayaa, jis ka injaam Punjab mein mazhabi fasaad k
baad Punjab ki taqseem, 20 Laakh Punjabiyon k qatal aur 2 Croor Punjabiyon ki
displacement nikla aur 68 saal say Punjabi ghair Punjabiyon say gaaliyan bhe
soun rahay hain aur blackmail bhe ho rahay hain.
No comments:
Post a Comment